Thursday, May 4, 2017

Ek khayal

Dil ko sukoon ki jarurat hai..
Aankho ko khwab ki chahat hai..
Bhagte rahe ab tak yuhin apne wajood se..
Ab khud se khud ki pehchaan ki jarurat hai.....

RISHTEY

Konsa rishta sacha hota hai
Konsa rishta dil ko ajeej hota hai
Kya har rishtey dil se jude hote hain
Ya koi rishta sirf jarurat ka hota hai
Kya rishtey aise hote hain jisme jalan hoti hai
Ya rishton me irsya aur nafrat ki jagah bhi hoti hai
Kya log ek duje ki khushi me khush nahi hote
Kya rishtey jhuthe jajbaaton se bandhe hote hain
Zindagi ne samjhayi bas itni si baat
Rishta sacha wahi jahan jude ho ehsaas ek duje ki khatir
Koi aapse bandha ho bina kisi maksad ke
Koi aapko chahe sirf apne dil se
Jahan jarurat aur aadat ki nahi
Jajbaat ki kadar ho kisi ki zindagi me
Jahan mann ki baat mann tak bin kahe pahuch jaye
Jahan insaan alag par rooh ek si lage
Lafz sirf taarif k liye ho
Jillat aur dard ki koi jagah na ho
Rishta sacha wahi jahan bepanah mohabbat ho
Rishta sacha wahi jahan galatfahmiyon ki koi jagah na ho
Rang roop chahe alag ho
Dil dimag bhi chahe alag se ho
Par jo taar dil ko jodte hain
Wo taar sache pyar se bane ho
Rishta sacha wahi jahan atoot viswas ho
Rishta sacha wahi jahan dil tanha nahi
Apne paraye jaise khayal dil me na aaye
Jo hai wo rishta wahi duniya si lage
Wo rishta hi khudai hai
Wo rishta hi jeene ki wajah he
Har khusi har gamm me wo rishta haath thame hue hai
Sacha rishta wahi jo kisi ko majbur na kare
Sacha rishta wahi jo hame zindagi se pyaar karne ki wajah deta rahe

FRIENDSHIP

Friendship, dosti, yaariyaan, na jane kitne naam hai is ek rishtey ke. Ek sachi dosti hamari zindagi mein aise rang bhar deti hai jaise rang kisi indradhanush ke ho. Har rang dosti ki ek naye paribhasha ko samjhata hai. Ek rang ehsaas ka, dusra jajbaaton ka, teesra viswaas ka, chautha hamari parchai sa, panchwa hamare hamdard ka, chatwan hamare hamraaj ka, aur saatwan hamari dil ki dhadkan sa.
Ye wo rishta hai jo hamare dard mein hame rone na de. Hamare gamm ko kam aur khusiyon ko badha deta hai. Hamari parchai banke hamare har kadam pe hamare  saath rehta hai hamari dosti. Ye hai to jeevan mein mithas hai, ye nahi to hamara zindagi adhuri hai. Dost wo hote hai jo hame ladna sikhate hain aur hame jitne ka jazbaa bhi dete hain.  Hamare khatir khud hi na jaane kitni baar chot kha lete hain aur uff tak nahi karte. Dosti hamari zindagi ka wo ehsaas hai jise mitaya nahi ja sakta.

YOUR RELATIONS

Kabhi kabhi kuch rishtey jaane anjaane dil ke behayd kareeb ho jaate hain. Ham samajh nahi paate ki aisa kyun hota hai, lekin ye rishtey khaas hote hain. Kyunki ye wo rishtey hote hain jo dil se jude hote hain. In rishto se aapko khusi v milti hai to kafi hadd tak yeh rishtey aapke dard ki wajah bhi ban jaate hain. Jo log hamari zindagi me  mayne rakhte hain unki khusiyan unke dard bhi hame apne se lagne lag jaate hain. Hamari ek choti si koshish agar unke chehre pe muskurahat le aaye to dil ko sukoon milta hai. Par ye rishtey bhi nibhane utne hi mushkil hote hain jitna ki koi aur rishta nibhana. Har rishta vishwaas ki neew pe tika hota hai jahan galatfehmiyo ki jagah nahi hoti. Koi bhi rishta ho, chot agar lage to bhale hi na toote par ek daraar jarur aa jati hai.
Ye duniya hi aisi hai jahan logon ne ye maan liya hai ki yahan har kaam har rishta sirf swarth ki wajah se juda hai aur isi soch ki wajah se kafi baar kai pure rishtey apna dam tod dete hain. Log sahi kehte hain insaan ki keemat unke saath rehne tak nahi pata chalti, jis din uska haath aapke haathon se chut jata hai to ye ehsaas hota hai ki anjaane me kuch aisa kho diya jo dobara haasil nahi kiya ja sakta. Apne kisi bhi rishtey me khamoshi se dooriyan na badahaye. Aapke dil aur jubaan pe ek hi baat honi chahiye. Agar aapko koi rishta bojh lagne laga hai to us rishtey ke dum ghutne tak ka wait na kare, ek hi baar khatm kar de, isse aapko bhi paresaani kam hogi or koi dusre bhi is paresani se bahar nikal payenge. Ignorance, avoidance jaisi chize apne relations me na laye. Ye sirf aapke relations ko slow poison ka hi dose de rahe hain.

Aap sabhi ko lag raha hoga ki main sirf rishtey todne ki baat hi kyun kar rahi hu. Rishtey nibhana har kisi ke bas ki baat nahi. Aadhe se jyada log to apni majburi or farz samajh ke nibha dete hain. Rishtey nibhane hain to dil se nibhao. Aapke dil me kya hai wo apno ko samjhao. Unse naaraj ho to unse lado par dooriyan na badhao. Ignorance and Avoidance is enough to kill any relationship…