Saturday, July 15, 2017

KAASH


Kaash jeena aasan hota
Marne ki dua na maangni padti
Is zamane me insaaniyat basti to
Bheed se bhagne ki jarurat na padti


Khuda bhi jab nazare jhukata hoga
Apni banayi duniya pe rota hoga
Har shaks yahaan masroof hai khud hi me
Apno aur gairon me ab koi fark hi nazar nahi aata


Itna khudgarz kaise ho gaya ye insaan
Ki aankhon me chupe ashk bhi ab koi pehchaan nahi paata
Dil rota hai har pal bebasi me sisak sisak ke
Aur koi apna hi jashn-e-mehfil me khoya betha hai

 
Wo jo apne hain dil ko har baar todte hain
Jajbaat ke alawa har baat samajh jaate hain

Koi ehsaas nahi unhe aapke gamm ka
Wo aapko mayoos honi ki wajah har baar de jaate hain

 
Haal-e-dil jab kabhi aisa ho to
Kyun ham begano se umeed kare
Is zamaane me koi nahi apna
Akeley hi yeh afsaana pura hona hai

 
Ye kya kar raha hai naadan dil
Koi haq nahi mera kisi sikayat ka
Wo rabb bhi yahan badal diya jata hai
Jo qubool karta nahi unki har ek dua

 
Fir meri to bisaat hi kya hai
Maati ki gudia hu main maati mein hi mil jana hai
Apne hi baraste naino se khud ko mitana hai
Bas ek baar ek pal apne liye jeena hai.

 

 

 

JEE LE JARA

Lafzo ki zubaan nahi hoti saheb
Ye to logo ke nazariye unhe maayne dete hain
Kuch alfaaz dil me utar jate hain
To kuch zindagi ki haqeeqat ban jate hain
Dil ke taaro ko alfaazo se na chedo kabhi
Dard aur mohabbat dono ke sur isiki saaj se nikalte hain
Dard wo jo dikhaya na ja sake
Mohabbat aisi jo bayaan na ho sake
Sab lafzo ki chalaki hi hoti hai dosto
Tabhi to ishq me bhi dard chupa hota hai
Kyun gamm chipaye bethe hai
Asko ko alfaazo ki zarurat nahi
Ye dagar hi aisi hai zindagi ki
Yahan apne bhi hai aur begane bhi
Jo band hai mutthi usse khol do zara
Bahein faila ke zindagi ko ji le zara
Logon ka kya hai wo lete rahenge lafzo ka sahara
Aa dhundh le is andhere me bhi apni parchayian